mere ḳhvāboñ ko mujh se gila rah gayā
maiñ haqīqat meñ hī mubtalā rah gayā
maiñ bhī qisse sunātā safar ke magar
yaad mujh ko bas ik marhala rah gayā
rah ga.e kitne kirdār bhītar mire
mere bhītar mirā qāfila rah gayā
fāsloñ meñ rahā qurbatoñ kā gumāñ
qurbatoñ meñ kahīñ fāsla rah gayā
ḳhairiyat pūchhnā aur batānā kabhī
nisbatoñ meñ yahī silsila rah gayā
koī kundan huā to koī ko.elā
ek maiñ hī thā jo adh-jalā rah gayā
taul ke beche the maiñ ne TukḌe sabhī
jaane kaise ye dil antulā rah gayā
zindagī jī to lī shartoñ pe apnī ab
kyā karūñ is kā ye jo sila rah gayā