ek hī pal meñ badaltā hai nazāra saarā
aur is pal ke liye baaqī tamāshā saarā
zindagī ne na kisī imtihāñ ko dohrāyā
tajraba kaam hī aayā nahīñ apnā saarā
dhuup meñ jalnā hai us ko jo shajar ban ke jiye
us ke saa.e meñ rahe ḳhush ye zamāna saarā
us kī rahmat kā ḳhazāna vo luTā.e aise
jis ne māñgā nahīñ jo us ne vo paayā saarā
baḳhsh mujh ko na adhūrī koī ne.amat maulā
yā to dariyā hī de puurā yā to sahrā saarā
maiñ ne bāzār meñ puurā hī rakhā thā ḳhud ko
koī aisā na milā jis ne ḳharīdā saarā
aks sābūt to hai TuuTe hue shīshe meñ magar
ek TukḌā bhī gañvāyā to gañvāyā saarā
hotā hai bhiiḌ kī fitrat se madārī vāqif
jab talak ḳhatm na ho khel hai majma.a saarā
itnī vus.at nahīñ dāman meñ 'navā' ke yāroñ
pyaar kaise vo sameTe kaho itnā saarā