Navin Joshi

ho gai aawaz sasti aur mahnga shor hai

Navin Joshi

Mumbai, Maharashtra, India

1967
ho ga.ī āvāz sastī aur mahñgā shor hai
baat baiThī hai sikuḌ kar aur phailā shor hai
ye tirā hai ye mirā hai aur vo us kā shor hai
TukḌe TukḌe duniyā ne TukḌoñ meñ bāñTā shor hai
laal ho niilā ho nārañgī ho yā phir ho harā
rañg alag ḳhud-ġharzī ke par sab kā ik sā shor hai
ye siyāsat kī dukānoñ meñ musalsal biktā hai
maz.haboñ kā ḳhatm ho to sarhadoñ kā shor hai
ab vo mimbar hai hamārā jo tumhārā thā kabhī
tab tumhārā shor thā to ab hamārā shor hai
shor se bāhar ke uktā ke ham andar aa ga.e
par hameñ kyā thī ḳhabar andar ziyāda shor hai
chīḳh ke chillā ke ro ro ke ye chup ho jaatā hai
jis kī koī na sune ik aisā bachcha shor hai
Top Urdushayar.com