koī yaqīn kare kyoñ kisī gavāhī pe
mujhe yaqīñ nahīñ jab apnī be-gunāhī pe
uThe na zill-e-ilāhī pe uñglī ab koī
ye harf haar kā aa.e kisī sipāhī pe
nishān raahī ke rāhoñ pe ho na ho lekin
nishān rāhoñ ke aksar mileñge raahī pe
adā ye siikh hī letā agar pata hotā
saroñ ke daam to lagne haiñ kaj-kulāhī pe
rahūñgā jashn-zada maiñ bahāne kyā kam haiñ
tū raqs dekhnā merā mirī tabāhī pe
ye zaḳhm riste haiñ mere qalam zarīya hai
gumān ḳhuun kā honā hī hai siyāhī pe