Navin Joshi

dhup baDhne ke jo aasar hue

Navin Joshi

Mumbai, Maharashtra, India

1967
dhuup baḌhne ke jo āsār hue
kitne saa.e ke taraf-dār hue
tap ke kundan vo baneñge kaise
jo jhulasne ko na tayyār hue
hai davā ishq to bīmārī bhī
ham davā ke liye bīmār hue
jo na jismoñ ke talabgār hue
sirf vo vasl ke haqdār hue
qaid se un ko chhuḌā.e kaise
apne hāthoñ jo giraftār hue
na hue ġham-zada jo ġham se mire
vo baḌe ḳhush hai ki ġham-ḳhvār hue
baat karte haiñ jo aqdār kī vo
jab bhī mauqa milā bāzār hue
aa.ine DhūñDte ho tum har sū
aur ham chehre se bezār hue
tab talak the baḌe naqqād 'navā'
jab talak ḳhud se na do-chār hue
Top Urdushayar.com