ye jism mirā thak ke bahut chuur huā hai
kis kār-e-musalsal pe ye ma.amūr huā hai
vo niiñd milī hai ki jo puurī nahīñ hotī
vo ḳhvāb milā hai ki jo ma.azūr huā hai
jo ḳhauf-e-jarāhat meñ khulā chhoḌ diyā thā
vo zaḳhm mavādoñ bharā nāsūr huā hai
ik baar agar sāneha meñ suud jo dekhā
phir zauq-e-havādis baḌā bharpūr huā hai
kuchh vaqt zarā aur nahr duudh kī legī
farhād ko tesha nahīñ manzūr huā hai
jo ham se ye kahte the rivāyat nahīñ is kī
ab un ke hī kahne pe ye dastūr huā hai
ab maslahatan hī huā paidā koī muusā
ab maslahatan koh koī tuur huā hai