fazāoñ meñ kuchh aisī khalbalī thī
kaleja thaam kar vahshat chalī thī
kabhī us kī javānī manchalī thī
kabhī duniyā bhī sāñche meñ Dhalī thī
yahī ā.īna-dar-ā.īna ulfat
kabhī aks-e-ḳhafī naqsh-e-jalī thī
na chhoḌā sard jhoñkoñ ne vafā ko
jo shāḳh-e-dard kī tanhā kalī thī
bigāḌā kis ne hai tab-e-jahāñ ko
kabhī ye riñd-mashrab bhī valī thī
muhīt hañgāma-e-āfāq par hai
sadā-e-dard jo dil meñ palī thī
ġhanīmat jāniye phir nīm-raushan
charāġh-e-rāh se apnī galī thī
burā ho āgahī kā ziist varna
guzar jaatī burī thī yā bhalī thī
hamīñ ne 'fauq' chāhā zindagī ko
hamīñ se kisht-e-ġham phūlī-phalī thī