Hanif Fauq

aah-o-fariyaad se mamur chaman hai ki jo tha

Hanif Fauq

āh-o-fariyād se ma.amūr chaman hai ki jo thā
mā.il-e-jaur vahī charḳh-e-kuhan hai ki jo thā
husn pābandī-e-ādāb-e-jafā par majbūr
ishq āvāra sar-e-koh-o-daman hai ki jo thā
laakh badlā sahī mansūr kā ā.īn-e-hayāt
aaj bhī silsila-e-dār-o-rasan hai ki jo thā
Dar ke chauñk uThtī haiñ ḳhvāboñ se navelī kaliyāñ
ḳhanda-e-gul meñ vahī sāz-e-mehan hai ki jo thā
shabnam-afshānī-e-gulshan hai dam-e-sub.h hanūz
lāla-o-gul pe vo ashkoñ kā kafan hai ki jo thā
dil-e-be-tāb pe maazī kī navāzish hai vahī
shab-e-mahtāb pe yādoñ kā gahan hai ki jo thā
haath rakh detā hai shāne pe tasavvur un kā
ġham kī rātoñ meñ koī jalva-figan hai ki jo thā
unheñ kyā fikr ki pūchheñ dil-e-bīmār kā haal
be-niyāzāna vo andāz-e-suḳhan hai ki jo thā
laakh badlā sahī ai 'fauq' zamāna lekin
tere andāz meñ be-sāḳhta-pan hai ki jo thā
Top Urdushayar.com