sitam kī teġh chalī tiir bhī jafā ke chale
jo baat haq thī sar-e-dār ham sunā ke chale
kuchh aisī duur na thiiñ manzileñ mohabbat kī
vufūr-e-shauq meñ ham fāsle baḌhā ke chale
jo āb-o-dāna chaman se uThā chaman vaalo
har ik shāḳh pe ham āshiyāñ banā ke chale
uThe to mahfil-e-rindāñ se tishna-kām magar
qadam qadam pe ham ek mai-kada banā ke chale
sulag sulag ke rahe jo diyā bujhā na sake
ga.e to jaate hue aag vo lagā ke chale
'ḳhayālī' sher hai kyā ye to ahl-e-fan jāneñ
ham apne dil kī ba-shakl-e-ġhazal sunā ke chale