dil kuchh samajh sakā na muamme janāb ke
andāz hī ajab haiñ savāl-o-javāb ke
dil le ke merā ishq kī sauġhāt baḳhsh dī
qurbān jā.iye karam-e-be-hisāb ke
kal kā.enāt-e-husn nahīñ husn-e-kā.enāt
ruḳh aur bhī haiñ jalva-e-zer-e-naqāb ke
har ḳhūn-e-ārzū se na.e hausle mile
mamnūn ham haiñ koshish-e-nā-kāmyāb ke
jān-e-azīz de ke hayāt-e-davām lī
zinda huuñ kyuuñ na maare hue inqalāb ke
vaa.iz tirā ḳhudā.ī kā da.avā nahīñ gunāh
kartā hai aaj faisle roz-e-hisāb ke
kyuuñ kar na munfarid hoñ 'ḳhayālī' ġhazal ke sher
aurāq muntashir haiñ ye dil kī kitāb ke