chashm-e-pur-nam abhī marhūn-e-asar ho na sakī
zindagī ḳhāk-nashīnoñ kī basar ho na sakī
mai-kade kī vahī mānūs fazā aur dil-e-zār
ek bhī raat ba-andāz-e-digar ho na sakī
ġham-e-jānāñ ġham-e-daurāñ kī guzargāhoñ se
guzre kuchh aise ki ḳhud apnī ḳhabar ho na sakī
dhuñdle dhuñdle nazar aate to haiñ qadmoñ ke nishāñ
garche pur-nūr abhī rāhguzar ho na sakī
zindagī jām-ba-kaf aa.ī bhī mahfil meñ magar
shab ke matvāloñ ko taufīq-e-nazar ho na sakī
kaise tābinda sitāroñ kā lahū jaltā hai
shab-e-tārīk jo unvān-e-sahar ho na sakī