Mohammad Naeemullah Khayali

shagufta aaj kuchh dil ki kali malum hoti hai

Mohammad Naeemullah Khayali

Bahraich, Uttar pradesh, India

1920-1991
shagufta aaj kuchh dil kī kalī ma.alūm hotī hai
bahār-e-ḳhanda-e-gul zindagī ma.alūm hotī hai
vo mere dil kī kahte haiñ maiñ un ke dil kī kahtā huuñ
mohabbat ittifāq-e-bāhamī ma.alūm hotī hai
mukar jaa.eñ vo va.ade se mujhe bāvar nahīñ aatā
ḳhilāf-e-shān ḳhū ye husn kī ma.alūm hotī hai
vahī din haiñ vahī rāteñ vahī ham hai vahī bāteñ
magar phir bhī kisī shai kī kamī ma.alūm hotī hai
nasīm aa.ī bahār aa.ī payām-e-jāñ-fizā laa.ī
'ḳhayālī' zindagī ab zindagī ma.alūm hotī hai
Top Urdushayar.com