barbād-e-tamannā pe itaab aur ziyāda
haañ merī mohabbat kā javāb aur ziyāda
ro.eñ na abhī ahl-e-nazar haal pe mere
honā hai abhī mujh ko ḳharāb aur ziyāda
āvāra o majnūñ hī pe mauqūf nahīñ kuchh
milne haiñ abhī mujh ko ḳhitāb aur ziyāda
uTTheñge abhī aur bhī tūfāñ mire dil se
dekhūñgā abhī ishq ke ḳhvāb aur ziyāda
Tapkegā lahū aur mire dīda-e-tar se
dhaḌkegā dil-e-ḳhāna-ḳharāb aur ziyāda
hogī mirī bātoñ se unheñ aur bhī hairat
aa.egā unheñ mujh se hijāb aur ziyāda
use mutrib-e-bebāk koī aur bhī naġhma
ai sāqi-e-fayyāz sharāb aur ziyāda