Asrarul Haq Majaz

kuchh tujhko KHabar hai hum kya kya ai shorish-e-dauran bhul gae

Asrarul Haq Majaz

Rudauli, Uttar pradesh, India

1911-1955
kuchh tujh ko ḳhabar hai ham kyā kyā ai shorish-e-daurāñ bhuul ga.e
vo zulf-e-pareshāñ bhuul ga.e vo dīda-e-giryāñ bhuul ga.e
ai shauq-e-nazāra kyā kahiye nazroñ meñ koī sūrat hī nahīñ
ai zauq-e-tasavvur kyā kiije ham sūrat-e-jānāñ bhuul ga.e
ab gul se nazar miltī hī nahīñ ab dil kī kalī khiltī hī nahīñ
ai fasl-e-bahārāñ ruḳhsat ho ham lutf-e-bahārāñ bhuul ga.e
sab kā to mudāvā kar Daalā apnā hī mudāvā kar na sake
sab ke to garebāñ sī Daale apnā hī garebāñ bhuul ga.e
ye apnī vafā kā aalam hai ab un kī jafā ko kyā kahiye
ik nishtar zahr-āgīñ rakh kar nazdīk-e-rag-e-jāñ bhuul ga.e
Top Urdushayar.com