jigar aur dil ko bachānā bhī hai
nazar aap hī se milānā bhī hai
mohabbat kā har bhed paanā bhī hai
magar apnā dāman bachānā bhī hai
jo dil tere ġham kā nishāna bhī hai
qatīl-e-jafā-e-zamāna bhī hai
ye bijlī chamaktī hai kyuuñ dam-ba-dam
chaman meñ koī āshiyāna bhī hai
ḳhirad kī itā.at zarūrī sahī
yahī to junūñ kā zamānā bhī hai
na duniyā na uqbā kahāñ jā.iye
kahīñ ahl-e-dil kā Thikānā bhī hai
mujhe aaj sāhil pe rone bhī do
ki tūfān meñ muskurānā bhī hai
zamāne se aage to baḌhiye 'majāz'
zamāne ko aage baḌhānā bhī hai