dard kī daulat-e-bedār atā ho saaqī
ham bahī-ḳhvāh sabhī ke haiñ bhalā ho saaqī
saḳht-jāñ hī nahīñ ham ḳhud-sar-o-ḳhuddar bhī haiñ
nāvak-e-nāz ḳhatā hai to ḳhatā ho saaqī
sa.ī-e-tadbīr meñ muzmar hai ik āh-e-jāñ-soz
us kā in.aam sazā ho ki jazā ho saaqī
sīna-e-shauq meñ vo zaḳhm ki lau de uTThe
aur bhī tez zamāne kī havā ho saaqī