izn-e-ḳhirām lete hue āsmāñ se ham
haT kar chale haiñ rahguzar-e-kārvāñ se ham
kyā pūchhte ho jhūmte aa.e kahāñ se ham
pī kar uThe haiñ ḳhum-kada-e-āsmāñ se ham
kyūñkar huā hai faash zamāne pe kyā kaheñ
vo rāz-e-dil jo kah na sake rāz-dāñ se ham
hamdam yahī hai rahguzar-e-yār-e-ḳhush-ḳhirām
guzre haiñ laakh baar isī kahkashāñ se ham
kyā kyā huā hai ham se junūñ meñ na pūchhiye
uljhe kabhī zamīñ se kabhī āsmāñ se ham
har nargis-e-jamīl ne maḳhmūr kar diyā
pī kar uThe sharāb har ik bostāñ se ham
Thukrā diye haiñ aql o ḳhirad ke sanam-kade
ghabrā chuke the kashmakash-e-imtihāñ se ham
dekheñge ham bhī kaun hai sajda tarāz-e-shauq
le sar uThā rahe haiñ tire āstāñ se ham
baḳhshī haiñ ham ko ishq ne vo jur.ateñ 'majāz'
Darte nahīñ siyāsat-e-ahl-e-jahāñ se ham