Asrarul Haq Majaz

aasman tak jo nala pahuncha hai

Asrarul Haq Majaz

Rudauli, Uttar pradesh, India

1911-1955
āsmāñ tak jo naala pahuñchā hai
dil kī gahrā.iyoñ se niklā hai
merī nazroñ meñ hashr bhī kyā hai
maiñ ne un kā jalāl dekhā hai
jalva-e-tūr ḳhvāb-e-mūsā hai
kis ne dekhā hai kis ko dekhā hai
haa.e anjām is safīne kā
nāḳhudā ne jise Duboyā hai
aah kyā dil meñ ab lahū bhī nahīñ
aaj ashkoñ kā rañg phīkā hai
jab bhī āñkheñ milīñ un āñkhoñ se
dil ne dil kā mizāj pūchhā hai
vo javānī ki thī harīf-e-tarab
aaj barbād-e-jām-o-sahbā hai
kaun uTh kar chalā muqābil se
jis taraf dekhiye añdherā hai
phir mirī aañkh ho ga.ī namnāk
phir kisī ne mizāj pūchhā hai
sach to ye hai 'majāz' kī duniyā
husn aur ishq ke sivā kyā hai
Top Urdushayar.com