dāman-e-dil pe nahīñ bārish-e-ilhām abhī
ishq nā-puḳhta abhī jazb-e-darūñ ḳhaam abhī
ḳhud hī jhuktā huuñ ki da.avā-e-junūñ kyā kījiye
kuchh gavārā bhī hai ye qaid-e-dar-o-bām abhī
ye javānī to abhī mā.il-e-paikār nahīñ
ye javānī to hai rusvā-e-mai-o-jām abhī
vaa.iz o shaiḳh ne sar joḌ ke badnām kiyā
varna badnām na hotī mai-e-gulfām abhī
maiñ ba-sad-faḳhriya zuhhād se kahtā huuñ 'majāz'
mujh ko hāsil, sharf-e-bai.at-e-ḳhayyām abhī