Asrarul Haq Majaz

wo naqab aap se uTh jae to kuchh dur nahin

Asrarul Haq Majaz

Rudauli, Uttar pradesh, India

1911-1955
vo naqāb aap se uTh jaa.e to kuchh duur nahīñ
varna merī nigah-e-shauq bhī majbūr nahīñ
ḳhātir-e-ahl-e-nazar husn ko manzūr nahīñ
is meñ kuchh terī ḳhatā dīda-e-mahjūr nahīñ
laakh chhupte ho magar chhup ke bhī mastūr nahīñ
tum ajab chiiz ho nazdīk nahīñ duur nahīñ
jur.at-e-arz pe vo kuchh nahīñ kahte lekin
har adā se ye Tapaktā hai ki manzūr nahīñ
dil dhaḌak uThtā hai ḳhud apnī hī har aahaT par
ab qadam manzil-e-jānāñ se bahut duur nahīñ
haa.e vo vaqt ki jab be-piye mad-hoshī thī
haa.e ye vaqt ki ab pī ke bhī maḳhmūr nahīñ
husn hī husn hai jis samt uThātā huuñ nazar
ab yahāñ tuur nahīñ barq-e-sar-e-tūr nahīñ
dekh saktā huuñ jo āñkhoñ se vo kaafī hai 'majāz'
ahl-e-irfāñ kī navāzish mujhe manzūr nahīñ
Top Urdushayar.com