taskīn-e-dil-e-mahzūñ na huī vo sa.i-e-karam farmā bhī ga.e
is sa.i-e-karam ko kyā kahiye bahlā bhī ga.e taḌpā bhī ga.e
ham arz-e-vafā bhī kar na sake kuchh kah na sake kuchh sun na sake
yaañ ham ne zabāñ hī kholī thī vaañ aañkh jhukī sharmā bhī ga.e
āshuftagī-e-vahshat kī qasam hairat kī qasam hasrat kī qasam
ab aap kaheñ kuchh yā na kaheñ ham rāz-e-tabassum pā bhī ga.e
rūdād-e-ġham-e-ulfat un se ham kyā kahte kyūñkar kahte
ik harf na niklā hoñToñ se aur aañkh meñ aañsū aa bhī ga.e
arbāb-e-junūñ par furqat meñ ab kyā kahiye kyā kyā guzrī
aa.e the savād-e-ulfat meñ kuchh kho bhī ga.e kuchh pā bhī ga.e
ye rañg-e-bahār-e-ālam hai kyuuñ fikr hai tujh ko ai saaqī
mahfil to tirī suunī na huī kuchh uTh bhī ga.e kuchh aa bhī ga.e
is mahfil-e-kaif-o-mastī meñ is anjuman-e-irfānī meñ
sab jām-ba-kaf baiThe hī rahe ham pī bhī ga.e chhalkā bhī ga.e