Asrarul Haq Majaz

ye jahan bargah-e-ritl-giran hai saqi

Asrarul Haq Majaz

Rudauli, Uttar pradesh, India

1911-1955
ye jahāñ bārgah-e-ritl-girāñ hai saaqī
ik jahannam mire siine meñ tapāñ hai saaqī
jis ne barbād kiyā mā.il-e-fariyād kiyā
vo mohabbat abhī is dil meñ javāñ hai saaqī
ek din aadam o havvā bhī kiye the paidā
vo uḳhuvvat tirī mahfil meñ kahāñ hai saaqī
har chaman dāman-e-gul-rañg hai ḳhūn-e-dil se
har taraf shevan-o-fariyād-o-fuġhāñ hai saaqī
maah o anjum mire ashkoñ se guhar-tāb hue
kahkashāñ nuur kī ek jū-e-ravāñ hai saaqī
husn hī husn hai jis samt bhī uThtī hai nazar
kitnā pur-kaif ye manzar ye samāñ hai saaqī
zamzama saaz kā paa.el kī chhanāke kī tarah
behtar-az-shorish-e-nāqūs-o-azāñ hai saaqī
mere har lafz meñ betāb mirā shor-e-darūñ
merī har saañs mohabbat kā dhuāñ hai saaqī
Top Urdushayar.com