āshiqī jāñ-fazā bhī hotī hai
aur sabr-āzmā bhī hotī hai
ruuh hotī hai kaif-parvar bhī
aur dard-āshnā bhī hotī hai
husn ko kar na de ye sharminda
ishq se ye ḳhatā bhī hotī hai
ban ga.ī rasm bāda-ḳhvārī bhī
ye namāz ab qazā bhī hotī hai
jis ko kahte haiñ nāla-e-barham
saaz meñ vo sadā bhī hotī hai
kyā batā do 'majāz' kī duniyā
kuchh haqīqat-numā bhī hotī hai