sāzgār hai hamdam in dinoñ jahāñ apnā
ishq shādmāñ apnā shauq kāmrāñ apnā
aah be-asar kis kī naala nā-rasā kis kā
kaam bār-hā aayā jazba-e-nihāñ apnā
kab kiyā thā is dil par husn ne karam itnā
mehrbāñ aur is darja kab thā āsmāñ apnā
uljhanoñ se ghabrā.e mai-kade meñ dar aa.e
kis qadar tan-āsāñ hai zauq-e-rā.egāñ apnā
kuchh na pūchh ai hamdam in dinoñ mirā aalam
mutrib-e-hasīñ apnā sāqi-e-javāñ apnā
ishq aur rusvā.ī kaun sī na.ī shai hai
ishq to azal se thā rusvā-e-jahāñ apnā
tum 'majāz' dīvāne maslahat se begāne
varna ham banā lete tum ko rāz-dāñ apnā