Asrarul Haq Majaz

dhuan sa ek samt uTh raha hai sharare uD uD ke aa rahe hain

Asrarul Haq Majaz

Rudauli, Uttar pradesh, India

1911-1955
dhuāñ sā ik samt uTh rahā hai sharāre uḌ uḌ ke aa rahe haiñ
ye kis kī aa.heñ ye kis ke naale tamām aalam pe chhā rahe haiñ
naqāb ruḳh se uThā chuke haiñ khaḌe hue muskurā rahe haiñ
maiñ hairatī-e-azal huuñ ab bhī vo ḳhaak hairāñ banā rahe haiñ
havā.eñ be-ḳhud fazā.eñ be-ḳhud ye ambar-afshāñ ghaTā.eñ be-ḳhud
mizha ne chheḌā hai saaz dil kā vo zer-e-lab gungunā rahe haiñ
ye shauq kī vārdāt-e-paiham ye vāda-e-iltifāt-e-paiham
kahāñ kahāñ aazmā chuke haiñ kahāñ kahāñ aazmā rahe haiñ
surāhiyāñ nau-ba-nau haiñ ab bhī jamāhiyāñ nau-ba-nau haiñ ab bhī
magar vo pahlū-tahī kī saugand ab bhī nazdīk aa rahe haiñ
vo ishq kī vahshatoñ kī zad meñ vo taaj kī rif.atoñ ke aage
magar abhī aazmā rahe haiñ magar abhī aazmā rahe haiñ
atā kiyā hai 'majāz' fitrat ne vo mazāq-e-latīf ham ko
ki ālam-e-āb-o-gil se haT kar ik aur aalam banā rahe haiñ
Top Urdushayar.com