saarā aalam gosh-bar-āvāz hai
aaj kin hāthoñ meñ dil kā saaz hai
tū jahāñ hai zamzama-pardāz hai
dil jahāñ hai gosh-bar-āvāz hai
haañ zarā jur.at dikhā ai jazb-e-dil
husn ko parde pe apne naaz hai
ham-nashīñ dil kī haqīqat kyā kahūñ
soz meñ Duubā huā ik saaz hai
aap kī maḳhmūr āñkhoñ kī qasam
merī mai-ḳhvārī abhī tak raaz hai
hañs diye vo mere rone par magar
un ke hañs dene meñ bhī ik raaz hai
chhup ga.e vo sāz-e-hastī chheḌ kar
ab to bas āvāz hī āvāz hai
husn ko nāhaq pashemāñ kar diyā
ai junūñ ye bhī koī andāz hai
saarī mahfil jis pe jhuum uTThī 'majāz'
vo to āvāz-e-shikast-e-sāz hai