Asrarul Haq Majaz

karishma-sazi-e-dil dekhta hun

Asrarul Haq Majaz

Rudauli, Uttar pradesh, India

1911-1955
karishma-sāzī-e-dil dekhtā huuñ
tumheñ apne muqābil dekhtā huuñ
jahāñ manzil kā imkāñ hī nahīñ hai
vahāñ āsār-e-manzil dekhtā huuñ
sadā dī tū ne kyā jaane kahāñ se
magar maiñ jānib-e-dil dekhtā huuñ
kahāñ kā rahnumā aur kaisī rāheñ
jidhar baḌhtā huuñ manzil dekhtā huuñ
ishārā hai tirā tūfāñ kī jānib
magar maiñ huuñ ki sāhil dekhtā huuñ
mohabbat hī mohabbat hai jahāñ par
mohabbat kī vo manzil dekhtā huuñ
mire hāthoñ meñ bhī hai saaz lekin
abhī maiñ rañg-e-mahfil dekhtā huuñ
tire hāthoñ se jo TuuTā thā ik din
vahī TuuTā huā dil dekhtā huuñ
kabhī tūfāñ hī tūfāñ hai nazar meñ
kabhī sāhil hī sāhil dekhtā huuñ
ġhurūr-e-husn-e-bātil par nazar hai
niyāz-e-ishq-e-kāmil dekhtā huuñ
'majāz' aur husn ke qadmoñ pe sajde
ma.āl-e-zo.am-e-bātil dekhtā huuñ
Top Urdushayar.com