rah-e-shauq se ab haTā chāhtā huuñ
kashish husn kī dekhnā chāhtā huuñ
koī dil sā dard-āshnā chāhtā huuñ
rah-e-ishq meñ rahnumā chāhtā huuñ
tujhī se tujhe chhīnnā chāhtā huuñ
ye kyā chāhtā huuñ ye kyā chāhtā huuñ
ḳhatāoñ pe jo mujh ko maa.il kare phir
sazā aur aisī sazā chāhtā huuñ
vo maḳhmūr nazreñ vo mad.hosh āñkheñ
ḳharāb-e-mohabbat huā chāhtā huuñ
vo āñkheñ jhukīñ vo koī muskurāyā
payām-e-mohabbat sunā chāhtā huuñ
tujhe DhūñDhtā huuñ tirī justujū hai
mazā hai ki ḳhud gum huā chāhtā huuñ
ye maujoñ kī be-tābiyāñ kaun dekhe
maiñ sāhil se ab lauTnā chāhtā huuñ
kahāñ kā karam aur kaisī ināyat
'majāz' ab jafā hī jafā chāhtā huuñ