aql kī sat.h se kuchh aur ubhar jaanā thā
ishq ko manzil-e-pastī se guzar jaanā thā
jalve the halqa-e-sar dām-e-nazar se bāhar
maiñ ne har jalve ko pāband-e-nazar jaanā thā
husn kā ġham bhī hasīñ fikr hasīñ dard hasīñ
un ko har rañg meñ har taur sañvar jaanā thā
husn ne shauq ke hañgāme to dekhe the bahut
ishq ke dāva-e-taqdīs se Dar jaanā thā
ye to kyā kahiye chalā thā maiñ kahāñ se hamdam
mujh ko ye bhī na thā ma.alūm kidhar jaanā thā
husn aur ishq ko de tāna-e-bedād 'majāz'
tum ko to sirf isī baat par mar jaanā thā