nahīñ ye fikr koī rahbar-e-kāmil nahīñ miltā
koī duniyā meñ mānūs-e-mizāj-e-dil nahīñ miltā
kabhī sāhil pe rah kar shauq tūfānoñ se Takrā.eñ
kabhī tūfāñ meñ rah kar fikr hai sāhil nahīñ miltā
ye aanā koī aanā hai ki bas rasman chale aa.e
ye milnā ḳhaak milnā hai ki dil se dil nahīñ miltā
shikasta-pā ko muzhda ḳhastagān-e-rāh ko muzhda
ki rahbar ko surāġh-e-jāda-e-manzil nahīñ miltā
vahāñ kitnoñ ko taḳht o taaj kā armāñ hai kyā kahiye
jahāñ saa.il ko aksar kāsa-e-sā.il nahīñ miltā
ye qatl-e-ām aur be-izn qatl-e-ām kyā kahiye
ye bismil kaise bismil haiñ jinheñ qātil nahīñ miltā