Khurshid Sahar

duaon ka apni asar har taraf

Khurshid Sahar

duāoñ kā apnī asar har taraf
munavvar haiñ shaam o sahar har taraf
ḳhushī us ke hamrāh ruḳhsat huī
udāsī girī TuuT kar har taraf
jidhar jī meñ aayā udhar chal paḌe
musāfir kā hotā hai ghar har taraf
yūñhī apnī ḳhushbū uḌā chār-sū
havā kī tarah tū bikhar har taraf
thake hausle be-sadā rāste
tabāhī kā lambā safar har taraf
añdhere 'sahar' tā-nashīñ ho ga.e
ki raushan hai merā hunar har taraf
Top Urdushayar.com