Asrarul Haq Majaz

KHud dil mein rah ke aankh se parda kare koi

Asrarul Haq Majaz

Rudauli, Uttar pradesh, India

1911-1955
ḳhud dil meñ rah ke aañkh se parda kare koī
haañ lutf jab hai pā ke bhī DhūñDā kare koī
tum ne to hukm-e-tark-e-tamannā sunā diyā
kis dil se aah tark-e-tamannā kare koī
duniyā laraz ga.ī dil-e-hirmāñ-nasīb kī
is tarah sāz-e-aish na chheḌā kare koī
mujh ko ye aarzū vo uThā.eñ naqāb ḳhud
un ko ye intizār taqāzā kare koī
rañgīni-e-naqāb meñ gum ho ga.ī nazar
kyā be-hijābiyoñ kā taqāzā kare koī
yā to kisī ko jur.at-e-dīdār hī na ho
yā phir mirī nigāh se dekhā kare koī
hotī hai is meñ husn kī tauhīn ai 'majāz'
itnā na ahl-e-ishq ko rusvā kare koī
Top Urdushayar.com