bas is taqsīr par apne muqaddar meñ hai mar jaanā
tabassum ko tabassum kyuuñ nazar ko kyuuñ nazar jaanā
ḳhirad vāloñ se husn o ishq kī tanqīd kyā hogī
na afsūn-e-nigah samjhā na andāz-e-nazar jaanā
mai-e-gulfām bhī hai sāz-e-ishrat bhī hai saaqī bhī
bahut mushkil hai āshob-e-haqīqat se guzar jaanā
ġham-e-daurāñ meñ guzrī jis qadar guzrī jahāñ guzrī
aur is par lutf ye hai zindagī ko muḳhtasar jaanā