Asrarul Haq Majaz

yunhi baiThe raho bas dard-e-dil se be-KHabar ho kar

Asrarul Haq Majaz

Rudauli, Uttar pradesh, India

1911-1955
yūñhī baiThe raho bas dard-e-dil se be-ḳhabar ho kar
bano kyuuñ chārāgar tum kyā karoge chārāgar ho kar
dikhā de ek din ai husn-e-rañgīñ jalva-gar ho kar
vo nazzāra jo in āñkhoñ meñ rah jaa.e nazar ho kar
dil-e-soz-āshnā ke jalve the jo muntashir ho kar
fazā-e-dahr meñ chamkā kiye barq o sharar ho kar
vahī jalve jo ik din dāman-e-dil se gurezāñ the
nazar meñ rah ga.e gul-hā-e-dāmān-e-nazar ho kar
falak kī samt kis hasrat se takte haiñ ma.āz-allāh
ye naale nā-rasā ho kar ye aaheñ be-asar ho kar
ye kis ke husn ke rañgīn jalve chhā.e jaate haiñ
shafaq kī surḳhiyāñ ban kar tajallī kī sahar ho kar
Top Urdushayar.com