Asrarul Haq Majaz

junun-e-shauq ab bhi kam nahin hai

Asrarul Haq Majaz

Rudauli, Uttar pradesh, India

1911-1955
junūn-e-shauq ab bhī kam nahīñ hai
magar vo aaj bhī barham nahīñ hai
bahut mushkil hai duniyā kā sañvarnā
tirī zulfoñ kā pech-o-ḳham nahīñ hai
bahut kuchh aur bhī hai is jahāñ meñ
ye duniyā mahz ġham hī ġham nahīñ hai
taqāze kyuuñ karūñ paiham na saaqī
kise yaañ fikr-e-besh-o-kam nahīñ hai
udhar mashkūk hai merī sadāqat
idhar bhī bad-gumānī kam nahīñ hai
mirī barbādiyoñ kā ham-nashīno
tumheñ kyā ḳhud mujhe bhī ġham nahīñ hai
abhī bazm-e-tarab se kyā uThūñ maiñ
abhī to aañkh bhī pur-nam nahīñ hai
ba-īñ sail-e-ġham o sail-e-havādis
mirā sar hai ki ab bhī ḳham nahīñ hai
'majāz' ik bāda-kash to hai yaqīnan
jo ham sunte the vo aalam nahīñ hai
Top Urdushayar.com