Asrarul Haq Majaz

meri wafa ka tera lutf bhi jawab nahin

Asrarul Haq Majaz

Rudauli, Uttar pradesh, India

1911-1955
mirī vafā kā tirā lutf bhī javāb nahīñ
mire shabāb kī qīmat tirā shabāb nahīñ
ye māhtāb nahīñ hai ki āftāb nahīñ
sabhī hai husn magar ishq kā javāb nahīñ
mirī nigāh meñ jalve haiñ jalve hī jalve
yahāñ hijāb nahīñ hai yahāñ naqāb nahīñ
junūñ bhī had se sivā shauq bhī hai had se sivā
ye baat kyā hai ki maiñ maurid-e-itāb nahīñ
yahāñ to husn kā dil bhī hai ġham se sad paara
maiñ kāmyāb nahīñ vo bhī kāmyāb nahīñ
yahāñ to raat kī bedāriyāñ musallam haiñ
magar vahāñ bhī hasīñ añkhḌiyoñ meñ ḳhvāb nahīñ
na pūchhiye mirī duniyā ko merī duniyā meñ
ḳhud āftāb bhī zarra hai āftāb nahīñ
sab hī haiñ mai-kada-e-dahr meñ ḳhirad vaale
koī ḳharāb nahīñ hai koī ḳharāb nahīñ
'majāz' kis ko maiñ samjhā.ūñ koī kyā samjhe
ki kāmyāb-e-mohabbat bhī kāmyāb nahīñ
Top Urdushayar.com