husn phir fitnagar hai kyā kahiye
dil kī jānib nazar hai kyā kahiye
phir vahī rahguzar hai kyā kahiye
zindagī raah par hai kyā kahiye
husn ḳhud parda-var hai kyā kahiye
ye hamārī nazar hai kyā kahiye
aah to be-asar thī barsoñ se
naġhma bhī be-asar hai kyā kahiye
husn hai ab na husn ke jalve
ab nazar hī nazar hai kyā kahiye
aaj bhī hai 'majāz' ḳhāk-nashīñ
aur nazar arsh par hai kyā kahiye