Asrarul Haq Majaz

saqi-e-gulfam ba-sad ehtimam aa hi gaya

Asrarul Haq Majaz

Rudauli, Uttar pradesh, India

1911-1955
sāqi-e-gulfām bā-sad ehtimām aa hī gayā
naġhma bar lab ḳhum ba sar baada ba jaam aa hī gayā
apnī nazroñ meñ nashāt-e-jalva-e-ḳhūbāñ liye
ḳhalvati-e-ḳhās sū-e-bazm-e-ām aa hī gayā
merī duniyā jagmagā uTThī kisī ke nuur se
mere gardūñ par mirā māh-e-tamām aa hī gayā
jhuum jhuum uTThe shajar kaliyoñ ne āñkheñ khol diiñ
jānib-e-gulshan koī mast-e-ḳhirām aa hī gayā
phir kisī ke sāmne chashm-e-tamannā jhuk ga.ī
shauq kī shoḳhī meñ rañg-e-ehtarām aa hī gayā
merī shab ab merī shab hai merā baada mere jaam
vo mirā sarv-e-ravāñ māh-e-tamām aa hī gayā
bār-hā aisā huā hai yaad tak dil meñ na thī
bār-hā mastī meñ lab par un kā naam aa hī gayā
zindagī ke ḳhāka-e-sāda ko rañgīñ kar diyā
husn kaam aa.e na aa.e ishq kaam aa hī gayā
khul ga.ī thī saaf gardūñ kī haqīqat ai 'majāz'
ḳhairiyat guzrī ki shāhīñ zer-e-dām aa hī gayā
Top Urdushayar.com