ye tīrgī-e-shab hī kuchh sub.h-tarāz aatī
ḳhud vāda-e-fardā kī chhātī bhī dhaḌak jaatī
hoñToñ pe hañsī paiham aate hue sharmātī
ab raat nahīñ kaTtī ab niiñd nahīñ aatī
jo avval o āḳhir thā vo avval o āḳhir hai
maiñ nāla-ba-jāñ uThtā vo naġhma-ba-sāz aatī
soz-e-shab-e-hijrāñ phir soz-e-shab-e-hijrāñ hai
shabnam ba-mizha uThtī yā zulf-e-darāz aatī
yā-rab vo javānī bhī kyā mahshar-e-armāñ thī
añgḌā.ī bhī jab letī ek aañkh jhapak jaatī
āġhāz-e-siyah-mastī anjām-e-siyah-mastī
ā.īne meñ sūrat bhī aane kī qasam khātī
siine meñ 'majāz' ab tak vo jazba-e-kāfir thā
taslīs kī joinda vahdat kī qasam khātī