chehre dhuāñ dhuāñ haiñ ye āsār dekh kar
ā.īna-e-ḳhulūs sharar-bār dekh kar
phir koī kuchh na bol sakā kuchh na kar sakā
us be-zabāñ kī jur.at-e-iz.hār dekh kar
kuchh aur tez ho ga.ī lamhoñ kī saḳht dhuup
Thahre jahāñ bhī sāya-e-dīvār dekh kar
raste meñ koī moḌ na koh-e-girāñ milā
maiñ lauT aayā raah ko hamvār dekh kar
vo manzar-e-shikasta ki dil Dūbne lagā
āñkheñ laraz ga.iiñ pas-e-dīvār dekh kar