Asrarul Haq Majaz

sine mein un ke jalwe chhupae hue to hain

Asrarul Haq Majaz

Rudauli, Uttar pradesh, India

1911-1955

siine meñ un ke jalve chhupā.e hue to haiñ

ham apne dil ko tuur banā.e hue to haiñ

tāsīr-e-jazb-e-shauq dikhā.e hue to haiñ

ham terā har hijāb uThā.e hue to haiñ

haañ kyā huā vo hausla-e-dīd-e-ahl-e-dil

dekho vo naqāb uThā.e hue to haiñ

tere gunāhgār gunāhgār sahī

tere karam aas lagā.e hue to haiñ

allāh-rī kāmyābī-e-āvārgān-e-ishq

ḳhud gum hue to kyā use paa.e hue to haiñ

yuuñ tujh ko iḳhtiyār hai tāsīr de na de

dast-e-duā ham aaj uThā.e hue to haiñ

zikr un gar zabāñ pe nahīñ hai to kyā huā

ab tak nafas nafas meñ samā.e hue to haiñ

miTte huoñ ko dekh ke kyuuñ ro na deñ 'majāz'

āḳhir kisī ke ham bhī miTā.e hue to haiñ

Top Urdushayar.com