Asrarul Haq Majaz

na ham-ahang-e-masiha na harif-e-jibril

Asrarul Haq Majaz

Rudauli, Uttar pradesh, India

1911-1955
na ham-āhañg-e-masīhā na harīf-e-jibrīl
terā shā.ir ki hai zindāni-e-gesū-e-jamīl
kis kī āñkhoñ meñ ye ġhaltāñ hai javānī kī sharāb
khol dī aah ye kis ne mai-e-gul-gūñ kī sabīl
kis taraf jaa.e kahāñ jaa.e batā do koī
zulf-e-pur-ḳham kā giraftār nigāhoñ kā qatīl
ālam-e-yās meñ kyā chiiz hai ik sāġhar-e-mai
dasht-e-zulmāt meñ jis tarah ḳhizr kī qindīl
kitnī dushvār hai pīrān-e-haram kī manzil
is taraf fitna-e-iblīs udhar rabb-e-jalīl
uf ye tūfān-e-nashāt aur mirī tab-e-hazīñ
aah ye yūrish-e-nāz aur maiñ majrūh o aliil
aah vo hosh kā aalam vo ġhamoñ kā tūfāñ
uf ye mastī ki hai phir hosh meñ aane kī dalīl
Top Urdushayar.com