Khurshid Sahar

bas ye hua ki rishton ke sab hath kaT gae

Khurshid Sahar

bas ye huā ki rishtoñ ke sab haath kaT ga.e
ham log apne-āp hī aapas meñ baT ga.e
āsār-e-mumkināt the jitne vo ghaT ga.e
sūraj nikal ke aayā to kohre bhī chhaT ga.e
ye buz-dilī thī apnī ki kuchh bhī nahīñ kahā
hone diyā jo honā thā raste se haT ga.e
un se to jā ke milnā bhī dushvār ho gayā
masrūfiyat ke naam pe ham bhī simaT ga.e
ham kyā kaheñ ki kaise himāqat ye ho ga.ī
jo thā sabaq bhulāne kā us ko bhī raT ga.e
dīvār-o-dar se ab bhī rifāqat vahī rahī
tanhā.iyoñ meñ aa.e to un se lipaT ga.e
'ḳhurshīd' us pe sochiye kis kā qusūr hai
āsūdgī ke lamhe bhī aa kar palaT ga.e
Top Urdushayar.com