jab apne-āp ko malbūs meñ chhupāyā thā
tamām shahr ko ham ne barahana paayā thā
na apnī sub.h kī ḳhushiyāñ na apnī shaam kā ġham
hamāre paas to jo kuchh thā vo parāyā thā
talāsh kartī hai jis ko tumhārī rāhguzar
vo maiñ nahīñ thā mirī justujū kā saaya thā
vo hañs rahā thā magar ashk-e-ġham na rok sakā
zarā sī baat pe jis ne hameñ rulāyā thā
ajiib moḌ thā tark-e-ta.alluqāt kā vo
jab apne-āp se ham ne fareb khāyā thā
dhuāñ dhuāñ thī fazā gard gard thā manzar
dhuñdlakā shaam kā jis din sahar pe chhāyā thā