maiñ jis ke saath 'zafar' umr bhar uThā baiThā
vo jaane aaj hai kyuuñ ajnabī banā baiThā
shikāyat us se nahīñ apne-āp se hai mujhe
vo bevafā thā to maiñ aas kyuuñ lagā baiThā
jo mere vāste buniyād thā mohabbat kī
maiñ us ḳhayāl kī dīvār hī girā baiThā
buland parcham-e-azm-e-safar maiñ kyā rakhtā
mire qarīb hī merā ġhubār aa baiThā
samā.atoñ kī fasīloñ pe aisā pahra thā
ki phaḌphaḌātā huā tā.ir-e-sadā baiThā
milā vo raat mujhe mahfil-e-masarrat meñ
to maiñ adab se nahīñ dukh se duur jā baiThā
'zafar' batāo use haath kyā lagā saktā
jise maiñ dekh ke bīnā.ī hī gañvā baiThā