chāñd bhī sitāroñ ko saath le ke chaltā hai
jaane kyuuñ bhaTakte haiñ log be-sabab tanhā
dekhiye añdheroñ ke jism kab pighalte haiñ
tīrgī ziyāda hai aur charāġh-e-shab tanhā
ham jigar-figāroñ kī is adā ko kyā kahiye
baiThte haiñ sab mil kar sochte haiñ sab tanhā
aap ko na raas aa.ī anjuman to kyā hogā
ham to kaaT hī leñge apne roz-o-shab tanhā
aur ham kahāñ jaa.eñ kisī se raushnī māñgeñ
shahr meñ tumhīñ to ho ek mah-laqab tanhā