dosto tum ne bhī dekhī hai vo sūrat vo shabīh
jo nigāhoñ meñ samā jaatī hai manzar kī tarah
mujh ko ik qatra-e-be-faiz samajh ke na guzar
phail jā.ūñgā kisī roz samundar kī tarah
shahr-āshob meñ chīzoñ kā koī qaht nahīñ
zaḳhm milte haiñ dukānoñ meñ gul-e-tar kī tarah
apne hāthoñ kī lakīroñ meñ nahīñ hai shāyad
haa.e vo zulf jo khul jaa.e muqaddar kī tarah
mujh se itrāo na yaaro ki mujhe hai ma.alūm
aap kā ghar ki shikasta hai mire ghar kī tarah
dil ne kuchh ḳhvāb to dekhe the magar kyā kiije
vo bhī gum ho ga.e tālāb meñ patthar kī tarah