hañs diye zaḳhm-e-jigar jaise ki gul-hā-e-bahār
mujh pe maa.il hai bahut nargis-e-shahlā-e-bahār
be-ḳhayālī hai ḳhayāl-e-ruḳh-e-zebā-e-bahār
bas yahī ārzu-e-dil hai ki aa jaa.e bahār
mast in surḳh nazāroñ meñ nazar aa.e bahār
ātish-e-soz-e-mohabbat se jo jal jaa.e bahār
misl-e-majnūñ nazar aayā mujhe saudā-e-bahār
saj ke aa.ī hai mire sāmne lailā-e-bahār
jab vo gulshan meñ sañvartī hai barastī hai sharāb
jab vo bahke to zamāne ko bhī bahkā.e bahār
jhuum kar phuul ruḳh-e-yār pe hote haiñ fidā
kaif-e-nazzārgī-e-husn se lahrā.e bahār
kashish-e-rañg-e-mohabbat se vo aayā hai yahāñ
ai ḳhudā ab mire ghar se na kabhī jaa.e bahār
mo.ajiza maiñ ne ye dekhā tire lab par aksar
muskurāhaT meñ nihāñ barq-e-tajallā-e-bahār
mirī āñkhoñ meñ utar aa.ī hai tasvīr tirī
merī āñkhoñ se zarā dekh tamāsha-e-bahār
ā.īna dil kā 'suhail' ā.īna-e-shauq hai bas
us kī ma.asūm nigāhī se na sharmā.e bahār