Suhail Kakorvi

log kuchh rah-e-mohabbat mein Thahar jaenge

Suhail Kakorvi

Kakori, Uttar pradesh, India

1950
log kuchh rāh-e-mohabbat meñ Thahar jā.eñge
ham kahāñ vo haiñ jo ḳhatrāt se Dar jā.eñge
jānte hī nahīñ ye zaḳhm diye haiñ kis ne
log dete haiñ tasallī ki ye bhar jā.eñge
us ne ye kah ke bañdhā.ī hai mirī himmat-e-dil
aa.e haiñ ġham ke zamāne ye guzar jā.eñge
der se ā.eñge vo dil mirā kahtā hai yahī
ulTe muñh par ka.ī ilzām vo dhar jā.eñge
us ke aane ke to imkāñ nazar aate hī nahīñ
isī ummīd meñ sab shaam sahar jā.eñge
thoḌī sī dār-e-mohabbat kī zarūrat hai 'suhail'
jo jarāsīm haiñ nafrat ke vo mar jā.eñge
Top Urdushayar.com