kahāñ tevar haiñ un meñ ab vo kal ke
havā chalne lagī hai ruḳh badal ke
judā.ī kī ghaḌī hai dushman-e-dil
balā hai ye nahīñ Taltī hai Tal ke
adā un kī maza detī hai ham ko
maza aatā hai un ko dil masal ke
pahelī ban ke vo ojhal huā hai
kiye haiñ band dar sab us ne jal ke
vafā ke phuul tab samjho khileñge
jo aa.egā koī kāñToñ pe chal ke
vo kar dete haiñ nā-mumkin ko mumkin
mirī āġhosh meñ akasr machal ke
nazar ke tiir nāzuk haiñ tumhāre
jabhī pur-lutf haiñ ye vaar halke
'suhail' is dil kī hālat aur mohabbat
bahā āñkhoñ se vo patthar pighal ke